Main subah ke pehlu mein leta
Ye ek nazm padh raha hun
Neend aankhon mein hai
Aur ek khwaab table par baitha hai
Tumhari yaad kamre mein
Cigarette ke surmai dhue'n si
Bharti jaa rahi hai
Palko'n ke peechhe chal raha hai
Koi geela aansu :)
Ishq
Soz .